Thursday, February 24, 2005

My Own Thoughts

Failure is the basic ingredient required to make a success not mere tasty but a reality.
-------------------------------------------------------------------------------------
Awkward is what you think. Do it and let others also think.
-------------------------------------------------------------------------------------
Fear of falling stops you from going up. So don’t fear and move forward.
-------------------------------------------------------------------------------------
True learning can only take place in a fearless environment. But you should also learn how to learn in a fearful environment.
-------------------------------------------------------------------------------------
Please don’t make hell of your life by stopping yourself from doing what you want to and don’t make hell of things by letting yourself loose on your wants.
-------------------------------------------------------------------------------------
If in trying to make a balance between things they are getting imbalanced then stop balancing them. Just go by your heart. At least have a balanced heartbeat.
-------------------------------------------------------------------------------------

Sun rising from the horizon says
Get up you people of the earth
And shine like me
Burn like me for others
Be consistent in your diligence for your aim
-------------------------------------------------------------------------------------

Wednesday, February 23, 2005

Pinjar

Kagaz, ek pinjar, jo humari is nayaab zindagi k beshqeemati palon ko qaid karne k kaam aata hai.
Aur hum shikari, apni hee zindagi ke.
Kitna ajab hai yeh sab
pata nahin kyon qaid karte hain hum in palon ko... shayad is dar se k yeh ud na jaayein

waqai mein zindagi ka har pal ek panchi ki tarah hota hai. pata nahin kab ud jaaye

in par qaabu paane ka ek hee tareeqa tha, inhe qaid kar lena
aur hamesha ki tarah aadami ne inke liye bhi pinjar khoj dala
jaise jaise waqt gujra, pinjar ki shaql badli, qaid karne k naye tareeqe ijaad huey
par panchi aaj bhi wohi hain, humari zindagi k pal

yeh pinjar humari taaqat ka mukhtaar nahin hai balkeh humari bebasi ka jeeta jagta suboot hai
bebasi zindagi k palon k aage jinhe hum qaid to kar paate hain par riha nahin
pinjar mein band un palon ko ya to hum nihaar sakte hai ya phir pinjar samaet unhe mita saqte hain

Kalam, is pinjar ki woh chaabi jo isme panchiyon ko qaid karne k kaam aati hai
Mujhe talaash hai us chaabi ki jo in behisaab panchiyon ko azaad kar sake
aur inko humari zindagi ka wapas hissa bana sake

Sunday, February 20, 2005

Old Baggage