Sunday, July 17, 2005

Nahin aaya...Guzar jana

Aaya Hi Nahien Hum Ko Aahista Guzar Jana
Sheeshay Ka Muqaddar Hai Takra Kay Bikhar Jana

Taroun Ki Tarha Shab Kay Seenay Mein Uttar Jana
Aahat Na Ho Kadmoun Ki, Iss Tarha Guzar Jana

Nashay Mein Sambhalney Ka Fan Youn Hi Nahien Aaya
Inn Zulfoun Se Seekha Hai Lehra Kay Sanwar Jana

Bhar Jaayien Gey Aankhoun Mein Aanchal Se Bandhey Baadal
Yaad Aaye Ga Jab Gul Par Shabnam Ka Bikkhar Jana

Har MorDh Pe Do Aankhein Hum Se Yehi Kehti Hein
Jis Tarha Bhi Mumkin Ho Tum Lout Kay Ghar Jana

Yeh Chaand Sitarey Tum Aurroun Kay Liye Rakh Lo
Hum Ko Yahien Jeena Hai Hum Ko Yahien Marr Jana

Jab Toot Gaya Rishta Sarsabz PahaarDoun Se
Phir Teaz Hawa Jaaney Hum Ko Hai Kidhar Jana

Poet: Bashir Badar

Sent by Ashu

1 Comments:

Blogger EggHe/\D said...

dried up blogs. is your mind becoming too embroiled in the routine affairs of life

3:25 AM  

Post a Comment

<< Home